Un kee shaadi main tamboo lagaaney chalo
Valimay kee daiGHaiN pakaaney chalo!!
Aur bhi cheezain buhat see lut chuki hain dil key saath
Ye bataya doostoon ne ishq furmaney key baad
Is leay kamray ki ek ek cheez "check" karta hoon main
"Ek tere aane se pehle, ek tere jaane ke baad
Abstract Art ke mulbe se yeh nikli daulat
Jis ko samjhe the anannas woh nikli aurat.
Ek tasveer jo kamal-e-fun thi
Bhains ke jism pe, oont ki gurdan thi
Naqsh-e-mahbood musavvir ne saja rakha hai.
Main yeh samjha ke Tapai pe garha rakha hai.
Is numaish main jo utfal chale aate the.
Dar ke maaon ke seene se lippat jate the.
1. Neend kaysay aaj aaye gi
teen tangain hain chaarpai ki
Main ne naheen kiya tujhe badnam
yeh sharatat hai tere naai ki
Khood na aao to bhaij do qasid
raat katti nahi judai ki
2. Sudharain shaikh kaabe ko hum inglistaan daikhain ge
khuda ka ghar woh daikhain hum khuda ki shan daikhain ge
3. Shaikh ji council ke voter hogaaye
lijiaye chakray say motor hogaaye
Sheikh sahib ke yeh Bebakiyaan dekhiye
Maikade main yeh chalakiyan dekhiye
ek botal to li masjid ke paisoN se
Ek pyala rab ke naam ka pee liya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment