Jeete jaagte badan cheernewale dekhe
Dekhnewala tujhe dekh ke chahe sada
bana ke tasweer tujhe dil mein basake dekhe
Ishq ke desh mein ek din na guzara aisa
Jis main padte na sanam jaan ke lale dekhe
Ishq ki raah mein khair na aayi apni
Na kabhi pair ke usne mere chhale dekhe
Kiya main taareef karoon us sheher ki
wahaan na saaqi dekha na maiye ke piyale dekhe
Humne mana aapme hogi sabr ki takat hamse zyada,
Dekh lo lekin utri hogi aapki surat hamse zyada.
Andaz apne dekhte hai aaine me woh,
Aur ye bhi dekhte hain ke koi dekhta na ho.
Aandhiyaan bankar kai log bujhane nikle.
Jo humse tum na mile to kuch hum mar na gaye,
Kahne ko baat reh gayi aur din guzar gaye.
Khushi se aag lagao is muhalle mein,
Mera makan hi nahi tumhara ghar bhi hai.
No comments:
Post a Comment