Monday, August 20, 2007

Kuch behke hue Alfaaz...


Ayi na phir nazar kahin jaane kidhar gayi
Un tak to saath gardish-e-shaam-o-sahar gayi

Kuch hi pal ka thaa har jalvaa-e-hayaat
Laut aayi zakahm khake jidhar bhi nazar gayi

Aa dekh mujh se roothne wale tere bagair
Din bhi guzar gaya meri shab bhi guzar gayi

******************************************************

Aaj ke daur mein aye dost ye manzar kyon hai
Zakham har sar pe har ek haath mein patthar kyon hai

Jab haqeeqat hai ke har zarre mein tu rehta hai
Phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyon hai

Apna anjaam to maloom hai sab ko phir bhi
Apni nazron mein har insaan sikandar kyon hai

Yeh zindagi jeene ke qaabil hi nahi ab
Warna har aankh mein ashkon ka samandar kyon hai

*************************************************************
Aap ko dekh kar dekhta reh gaya
kya kahoon aur kahne ko kya reh gaya

Unki aankhon mein kaise chalakne laga
Mere honton pe jo maajraa reh gaya
Aise bichde sabhi raah ke mod par
AaKhri humsafar raasta reh gaya
Soch kar aao kuu-e-tamannaa hai ye
Jaaneman jo yahaan reh gaya reh gaya
**************************************************************

Aap mein gum hain magar sab ki Khabar rakhte hain
Ghar mein baithe hain zamaane pe nazar rakhte hain

Nuktachin dekhiye kis kis pe nazar rakhte hain
Hum bhi aye deedavaron aib-o-hunar rakhte hain

Rehnuma kho gaye manzil to bulati hai hamein
Paanv zakhmi hain to kya zauq-e-safar rakhte hain

******************************************************

Aas hogi na aasra hoga
Aanewale dinon mein kya hoga

Main tujhe bhoo jaoonga ek din
Waqt sab kuch badal chuka hoga

Naam hum ne likha tha aankhon mein
Aansuon ne mita diya hoga

Aasmaan bhar gaya parindon se
Ped koi haraa gira hoga

Kitna dushwar tha safar uska
Who shaam hote hi so gaya hoga

**********************************************************************
Aate aate mera naam sa reh gaya
Uske honthon pe kuch kaanpta reh gaya
Woh mere saamne hi gaya aur main
Raaste ki tarah dekhata reh gaya
Jhooth wale kahan se kahan badh gaye
Aur main tha ki sach bolta reh gaya
Aandhiyon ke irade to achchhe na the
Ye diya kaise jalta hua reh gaya
************************************************************
Aaj hum apni kasam todenge  Koi aur tujhe chahe humse zyada  Yeh tera bharam todenge
Aaye hain samjhane log
Hain kitne deewane log
Dair-o-haram mein chain jo milta
Kyon jaate maikhane log
Jaan ke sab kuch, kuchh bhi na jaane
Hain kitne anjaane log
Waqt pe kam nahin aate hain
Ye jaane pehchane log
Ab jab mujh ko hosh nahi hai
Aaye hain samjhane log
******************************************************
Ab chalakte hue saagar nahi dekhe jaate
Tauba ke baad ye manzar nahi dekhe jaate
Mast kar ke mujhe auron ko lagaa moonh saaqi
Ye karam hosh mein reh kar nahi dekhe jaate
Saath har ek ko is raah mein chalna hoga
Ishq mein rahzan-o-rahbar nahi dekhe jaate
Hum ne dekha hai zamaane ka badalna lekin
Unke badle hue tevar nahi dekhe jaate
*****************************************************************

Ab khushi hai na koi gham rulanewala
Humne apna liya har rang zamaanewala

Us ko rukhsat to kiya tha mujhe maloom na tha
Sara ghar le gaya, ghar chodke jaanewala

Ek musaafir ke safar jaisi hai sab ki duniya
Koi jaldi mein koi der se jaanewala

Ek be-chehra si umeed hai chehra-chehra
Jis taraf dekhiye aane ko hai aanewala

******************************************

Ab kise chahein kise dhoonda karein
Woh bhi aakhir mil gaya ab kya karein

Halki halki baarishein hoti rahein
Hum bhi phoolon ki tarah bheega karein

Dil muhabbat din duniya shayari
Har dareeche se tujhe dekha karein

Ghar naya kapde naye bartan naye
In puraane kaagazon ka kya karein

********************************************************
Ab tak us ki mohabbat ka nashaa taari hai
Phool baqi nahi Khushboo ka safar jari hai
Sehar lagta hai paseene mein nahaaya hua jism
Ye ajab Khwaab mein Doobi hui bedaari hai
Dhyaan bhi us ka hai milate bhi nahi hain us se
Jism se bair hai saaye se wafadari hai
Dil ko tanhai ka ehsaas bhi baaqi na raha
Woh bhi dhundhla gayi jo shakl bahut pyaari hai
Is jag-o-jehal mein toote hain sitaare kitne
Aasmaan jeet saka hai na zameen hari hai
Main aaya hoon zara aankh to khol ke dekh
Abhi jaage the abhi sone ki taiyaari hai
******************************************************************

Apni tasweer ko aankhon se lagata kya hai
Ek nazar meri taraf dekh, tera jaata kya hai

Meri ruswayee mein tu bhi hai barabar ka shareek
Mere qisse mere yaaron ko sunata kya hai

Paas rehkar bhi na pehchaan saka tu mujhko
door se dekh kar ab haath hilata kya hai

Umr bhar apane girebaan se ulajhanewale
Tu mujhe mere saaye se Darataa kya hai

Main tera kuch bhi nahi hoon, magar itna to bata
Dekh kar mujhko tere zehan mein aata kya hai

*********************************************************

Aye Khuda ret ke sahara ko samandar kar de
Ya chalakti aankhon ko bhi patthar kar de

Aur kuch bhi mujhe darkaar nahi hai lekin
Meri chaadar mere pairon ke barabar kar de

*******************************************************
Bas ek jhijhak hai yahi haal-e-dil sunaane mein
Ki tera zikr bhi aayega is fasaane mein
Meri Ishq ki qismat badal bhi sakti thi
Jo waqt beet gaya, tera mujh ko aazmane mein
Ye keh ke toot pada shaaKh-e-gul se aakhri phool
Ab aur der hai kitni bahaar aane mein
*******************************************************
Koi azaa mein dard ho to roti hain aankh
Kis tarah sare jism ki humdard hoti hai aankh
*******************************************************
Mere dil mein tu hi tu hai dil ki davaa kya karoon
Dil bhi tu hai jaan bhi tu hai tujhpe fida kya karoon
*******************************************************
Patthar ke Khuda wahaan bhi paaye
Hum chaand se aaj laut aaye
Deewarein to har taraf khadi hain
Kya ho gaya meherbaan saaye
Jungle ki hawaayein aa rahi hain
Kaagaz ka ye shehar ood na jaye
Majnu ne aaj naya janam liya hai
Hai Laila koi jo dil lagaye
Hai aaj zamiin ki gusal-e-sahat
Jis dil mein ho jitna Khoon laye
*******************************************************

No comments: